PUBLISHED 18/11/ 2017
1. Sham ko samay se sona or subah jaldi uthkar morning walk par jaana aur vyayam ya yoga karana health ko fit banaye rakhne ka best tarika hai.
2. Bahar se aate hi pasine mai pani peene or chhaya mai baith kar jyada der tak hava khane se, sir aur chhati mai dard paida hota hai.
3. Agar aap ek achi aur gehri neend sona chahte hai to sone se pehle apne mind ko tension free karne ki koshish kare fir sone ke liye bistar par jaye. Sone wale room ko saaf suthra rakhe.
4. Digestion matlab pachankriya ko theek rakhne ke liye khana sahi samay par khaye. Pet se judi bimariyo ka sabse bada karan kharab pachan tantar hi hai.
5. Khana khane se 20 minute pahle paani piye. Bhoan karte samay beech pani nahi piye. Bhojan karne ke aadhe ghante baad hi paani piye. Paani gunguna ho to aur behtar hai.
6. Dinbhar kursi par baithkar kaam karne wale vyakti ko morning walk par jarur jana chahiye.
7. Kahi bhi bahar se ghar aane ke baad, kisi bahari vastu ko haath lagane ke baad, khana banane se pahle, khane se pahle, khane ke baad or baathroom ka upayog karne ke baad haatho ko acchi tarah saabun se dhoye. Agar aapke ghar mai koi chota baccha hai tab to yah or bhi jaruri ho jata hai ar use haath lagane se pahle apne haath acchi se jarur dhoye.
8. Junk food, soft drink aur artificial shakar se bane juice aadi ka upayog na kare. Tale hua masaledar khana khane se parhe kare kyuki ise sharir mein digest hone mein adhik samay aur mehnat lagti hai. Koshish kare ki raat ka khana 8 baje tak ho or halka-phulka khana ho.
9. Khane ki kisi bhi vastu ko khula na chode. Kachche aur pake huye khane ko alag-alag rakhe. Khana pakane aur khane ke liye upyog mai aane wale bartano, friz, ovan aadi ko bhi saaf rakhe. Kabhi bhi geele bartano ko raick mai nahi rakhe, na hi bina sukhe dibbo aadi ke dhakkan lagakar rakhe.
10. Ghar mai safai par khaas dhyaan de, visheshkar rasoi aur shauchalayo par. Paani ko kahi bhi ikattha na hone de.
HEALTH DISCLAIMER
At Health Care you can Watch Health Management videos with lots of Natural ways and Home Remedy to cure various diseases. Video includes health tips for women,health tips for men,health tips for kids,benefits of various food and fruits. These video will reduce your stress about health Insurance and improve your habit of healthy eating.
*The information on this channel is designed for educational purposes only. It is not intended to be a substitute for informed medical advice or care.You should not use this information to diagnose or treat any health problems.